dil ki deewaana tabi'at ko museebat na bana
tujh se yaaraana hai yaaraana mohabbat na bana
main tujhe dil ki sunaata hoon mujhe tu dil ki
is suhoolat ko meri jaan aziyyat na bana
ham ko le de ke ta'alluq hi bacha hai tera
is ko mashkook na kar bai's-e-tohmat na bana
ek deewaar ne rishton ka taqaddus toda
bhaai roka tha tujhe ghar mein ye la'nat na bana
neend ko taq pe dhar aur diya pahluu mein
giryaa-e-aakhir-e-shab mein koi diqqat na bana
betiyaan rizq mein barkat ka sabab hoti hain
ghar ki rahmat ko galat soch se zahmat na bana
aks ka hona hai mashroot tire hone se
khud ko pehchaan magar aks ko hairat na bana
hoo-b-hoo us ki adaaon ki ada laazim hai
yaar ki sunnat-e-masauud ko bida'at na bana
ikhtilaafaat hain insaan ka khaasa tahseen
bahs karne hai to kar bahs ko nafrat na bana
दिल की दीवाना तबीअ'त को मुसीबत न बना
तुझ से याराना है याराना मोहब्बत न बना
मैं तुझे दिल की सुनाता हूँ मुझे तू दिल की
इस सुहूलत को मिरी जान अज़िय्यत न बना
हम को ले दे के तअ'ल्लुक़ ही बचा है तेरा
इस को मश्कूक न कर बाइ'स-ए-तोहमत न बना
एक दीवार ने रिश्तों का तक़द्दुस तोड़ा
भाई रोका था तुझे घर में ये ला'नत न बना
नींद को ताक़ पे धर और दिया पहलू में
गिर्या-ए-आख़िर-ए-शब में कोई दिक़्क़त न बना
बेटियाँ रिज़्क़ में बरकत का सबब होती हैं
घर की रहमत को ग़लत सोच से ज़हमत न बना
अक्स का होना है मशरूत तिरे होने से
ख़ुद को पहचान मगर अक्स को हैरत न बना
हू-ब-हू उस की अदाओं की अदा लाज़िम है
यार की सुन्नत-ए-मसऊद को बिदअ'त न बना
इख़्तिलाफ़ात हैं इंसान का ख़ासा 'तहसीन'
बहस करनी है तो कर बहस को नफ़रत न बना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yunus Tahseen
our suggestion based on Yunus Tahseen
As you were reading Nazakat Shayari Shayari