duniya-e-kharaabaat se pehle bhi kahi tha
main apni mulaqaat se pehle bhi kahi tha
aalam to abhi kal ke hain takhleeq mere dost
main arz-o-samaawaat se pehle bhi kahi tha
main aaj bhi hoon kal bhi kahi hoonga yaqeenan
aur arsa-e-auqaat se pehle bhi kahi tha
kahte the malaayek ki ye insaan hai fitna
ya'ni ki main khudshaat se pehle bhi kahi tha
logon ko to idraak mera aaj hua hai
main saari khuraafaat se pehle bhi kahi tha
har shay ki mere dam se hi pehchaan hui hai
main kashf-o-karamaat se pehle bhi kahi tha
main hazrat-e-insaan anl-ishq anl-husn
aadam ki hikaayat se pehle bhi kahi tha
har cheez mere vaaste raksaan hai jahaan ki
main mahfil-o-naghmaat se pehle bhi kahi tha
jis raat khuda-paak ne iqaar liya tha
tahseen main us raat se pehle bhi kahi tha
दुनिया-ए-ख़राबात से पहले भी कहीं था
मैं अपनी मुलाक़ात से पहले भी कहीं था
आलम तो अभी कल के हैं तख़्लीक़ मिरे दोस्त
मैं अर्ज़-ओ-समावात से पहले भी कहीं था
मैं आज भी हूँ कल भी कहीं हूँगा यक़ीनन
और अर्सा-ए-औक़ात से पहले भी कहीं था
कहते थे मलाएक कि ये इंसान है फ़ित्ना
या'नी कि मैं ख़दशात से पहले भी कहीं था
लोगों को तो इदराक मिरा आज हुआ है
मैं सारी ख़ुराफ़ात से पहले भी कहीं था
हर शय की मिरे दम से ही पहचान हुई है
मैं कश्फ़-ओ-करामात से पहले भी कहीं था
मैं हज़रत-ए-इंसान अनल-इश्क़ अनल-हुस्न
आदम की हिकायात से पहले भी कहीं था
हर चीज़ मिरे वास्ते रक़्साँ है जहाँ की
मैं महफ़िल-ओ-नग़्मात से पहले भी कहीं था
जिस रात ख़ुदा-पाक ने इक़रार लिया था
'तहसीन' मैं उस रात से पहले भी कहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yunus Tahseen
our suggestion based on Yunus Tahseen
As you were reading Dosti Shayari Shayari