kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain | कलेजे कर्ब सहते सहते छलनी हो चुके हैं

  - Yunus Tahseen

kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain
magar ab kya karein ham is ke aadi ho chuke hain

hamaare saamne se ishq-o-ulfat ko utha le
ye qisse ham tak aate aate raddi ho chuke hain

sitam ai gardish-e-dauraan kise dukhde sunaayein
dilaasa dene waale haath mitti ho chuke hain

to kya pyaason ko paani bhi pilaane se gaye ham
to kya ye maan len ham log kufi ho chuke hain

hamaare shehar se mumkin ho to bach kar guzar ja
hamaare shehar ke sab log wahshi ho chuke hain

are hairat se kya dekhe hain aankhon ko hamaari
ye mashkize to ik muddat se khaali ho chuke hain

jo mauzoon hain unhen qeemat munaasib hi milegi
magar saste bikenge vo jo daagi ho chuke hain

hamaara naam naamon se alag likkhegi duniya
ki ham teri mohabbat mein misaali ho chuke hain

कलेजे कर्ब सहते सहते छलनी हो चुके हैं
मगर अब क्या करें हम इस के आदी हो चुके हैं

हमारे सामने से इश्क़-ओ-उल्फ़त को उठा ले
ये क़िस्से हम तक आते आते रद्दी हो चुके हैं

सितम ऐ गर्दिश-ए-दौराँ किसे दुखड़े सुनाएँ
दिलासा देने वाले हाथ मिट्टी हो चुके हैं

तो क्या प्यासों को पानी भी पिलाने से गए हम
तो क्या ये मान लें हम लोग कूफ़ी हो चुके हैं

हमारे शहर से मुमकिन हो तो बच कर गुज़र जा
हमारे शहर के सब लोग वहशी हो चुके हैं

अरे हैरत से क्या देखे हैं आँखों को हमारी
ये मश्कीज़े तो इक मुद्दत से ख़ाली हो चुके हैं

जो मौज़ूँ हैं उन्हें क़ीमत मुनासिब ही मिलेगी
मगर सस्ते बिकेंगे वो जो दाग़ी हो चुके हैं

हमारा नाम नामों से अलग लिख्खेगी दुनिया
कि हम तेरी मोहब्बत में मिसाली हो चुके हैं

  - Yunus Tahseen

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yunus Tahseen

As you were reading Shayari by Yunus Tahseen

Similar Writers

our suggestion based on Yunus Tahseen

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari