shor se paak shab-o-roz guzaare ghar mein
ham ki tarse hi rahe koi pukaare ghar mein
ham yatiimon ko kahaan aate the nakhre karne
ya'ni jhagda nahin hota tha hamaare ghar mein
ham to bas ek hi kone mein pade rahte the
aur mehroomi raha karti thi saare ghar mein
aayatein kaan mein padti theen sehar hone par
ham to rahte the jahaan bhar se niyaare ghar mein
ek mamta thi jise ham ne khuda samjha tha
jab vo hansati thi utarte the sitaare ghar mein
ek hasrat ki main huqqe ki chilam bhar kar doon
ek khwaahish ki mera baap khankaare ghar mein
chaar-deewaari thi gurbat bhi thi ya'ni tahseen
ek deewaar ziyaada thi hamaare ghar mein
शोर से पाक शब-ओ-रोज़ गुज़ारे घर में
हम कि तरसे ही रहे कोई पुकारे घर में
हम यतीमों को कहाँ आते थे नख़रे करने
या'नी झगड़ा नहीं होता था हमारे घर में
हम तो बस एक ही कोने में पड़े रहते थे
और महरूमी रहा करती थी सारे घर में
आयतें कान में पड़ती थीं सहर होने पर
हम तो रहते थे जहाँ भर से नियारे घर में
एक ममता थी जिसे हम ने ख़ुदा समझा था
जब वो हँसती थी उतरते थे सितारे घर में
एक हसरत कि मैं हुक़्क़े की चिलम भर कर दूँ
एक ख़्वाहिश कि मिरा बाप खंकारे घर में
चार-दीवारी थी ग़ुर्बत भी थी या'नी 'तहसीन'
एक दीवार ज़ियादा थी हमारे घर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yunus Tahseen
our suggestion based on Yunus Tahseen
As you were reading Aahat Shayari Shayari