har waqt mere saamne ik jalwagari hai | हर वक़्त मिरे सामने इक जल्वागरी है

  - Yunus Tahseen

har waqt mere saamne ik jalwagari hai
main dekh na paau to meri kam nazri hai

main aankh jhapakta hoon to manzar nahin rehta
ai husn-e-dil-aawez ajab mukhtasari hai

sochun to yahan kuchh bhi nahin dekhne qaabil
dekhoon to tiri duniya badi rang bhari hai

dukh dard yahan aayein to waapas nahin jaate
ye dil koi aaseb-zada baara-dari hai

main dasht mein aa kar bhi kahaan chain se baitha
yaa par bhi wahi ishq wahi dar-b-dari hai

pyaare mere alfaaz ko to baar-e-digar dekh
ye she'r nahin noha-e-be-baal-o-paree hai

ye faiz mila ishq mein daryooza-gari se
sultaani mere naqsh-e-kaf-e-paa pe dhari hai

tahseen mazaameen-e-ghazal aur nikaalo
ye daur mohabbat ki museebat se bari hai

हर वक़्त मिरे सामने इक जल्वागरी है
मैं देख न पाऊँ तो मिरी कम नज़री है

मैं आँख झपकता हूँ तो मंज़र नहीं रहता
ऐ हुस्न-ए-दिल-आवेज़ अजब मुख़्तसरी है

सोचूँ तो यहाँ कुछ भी नहीं देखने क़ाबिल
देखूँ तो तिरी दुनिया बड़ी रंग भरी है

दुख दर्द यहाँ आएँ तो वापस नहीं जाते
ये दिल कोई आसेब-ज़दा बारा-दरी है

मैं दश्त में आ कर भी कहाँ चैन से बैठा
याँ पर भी वही इश्क़ वही दर-ब-दरी है

प्यारे मिरे अल्फ़ाज़ को तो बार-ए-दिगर देख
ये शे'र नहीं नौहा-ए-बे-बाल-ओ-परी है

ये फ़ैज़ मिला इश्क़ में दरयूज़ा-गरी से
सुल्तानी मिरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा पे धरी है

'तहसीन' मज़ामीन-ए-ग़ज़ल और निकालो
ये दौर मोहब्बत की मुसीबत से बरी है

  - Yunus Tahseen

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yunus Tahseen

As you were reading Shayari by Yunus Tahseen

Similar Writers

our suggestion based on Yunus Tahseen

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari