sar par dukh ka taaj suhaana lagta hai | सर पर दुख का ताज सुहाना लगता है

  - Yusuf Jamal

sar par dukh ka taaj suhaana lagta hai
mera chehra kya shaahana lagta hai

jab main kaccha fal tha to mahfooz tha main
ab jo paka to mujh pe nishaana lagta hai

shehr-e-dil ke khwaab ki kya taabeer karoon
kabhi naya ye kabhi puraana lagta hai

haathon mein kashkol liye tu de na sada
behron ka to ye kaashaana lagta hai

aaine mein dekh ke ye mehsoos hua
tera chehra kyun begaana lagta hai

सर पर दुख का ताज सुहाना लगता है
मेरा चेहरा क्या शाहाना लगता है

जब मैं कच्चा फल था तो महफ़ूज़ था मैं
अब जो पका तो मुझ पे निशाना लगता है

शहर-ए-दिल के ख़्वाब की क्या ताबीर करूँ
कभी नया ये कभी पुराना लगता है

हाथों में कश्कोल लिए तू दे न सदा
बहरों का तो ये काशाना लगता है

आईने में देख के ये महसूस हुआ
तेरा चेहरा क्यूँ बेगाना लगता है

  - Yusuf Jamal

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yusuf Jamal

As you were reading Shayari by Yusuf Jamal

Similar Writers

our suggestion based on Yusuf Jamal

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari