unhen qaid karne ki koshish hai kaisi
khala mein sadaaon ki bandish hai kaisi
nihaan mujh mein hai aur mere badan ka
lahu chaatati hai jo khwaahish hai kaisi
mujhe muskuraane ki kis ne saza di
meri zaat par ye nawaazish hai kaisi
mili khushbuon ke jazeera ki daawat
mujhe phir rulaane ki saazish hai kaisi
muqaddar mein hai jab hamaare andhere
nazar mein khudka si taabish hai kaisi
nagar hai ye phoolon ka to phir yahan par
chataanen ugaane ki kaavish hai kaisi
bahut shaad aabaad rakhna tha us ko
zameen par lahu ki ye baarish hai kaisi
उन्हें क़ैद करने की कोशिश है कैसी
ख़ला में सदाओं की बंदिश है कैसी
निहाँ मुझ में है और मेरे बदन का
लहू चाटती है जो ख़्वाहिश है कैसी
मुझे मुस्कुराने की किस ने सज़ा दी
मिरी ज़ात पर ये नवाज़िश है कैसी
मिली ख़ुशबुओं के जज़ीरे की दावत
मुझे फिर रुलाने की साज़िश है कैसी
मुक़द्दर में है जब हमारे अँधेरे
नज़र में सराबी सी ताबिश है कैसी
नगर है ये फूलों का तो फिर यहाँ पर
चटानें उगाने की काविश है कैसी
बहुत शाद आबाद रखना था उस को
ज़मीन पर लहू की ये बारिश है कैसी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Jamal
our suggestion based on Yusuf Jamal
As you were reading Aankhein Shayari Shayari