zakhamon ki munaajat mein pinhaan vo asar tha | ज़ख़्मों की मुनाजात में पिन्हाँ वो असर था

  - Yusuf Jamal

zakhamon ki munaajat mein pinhaan vo asar tha
aankhon se tapkata hua aansu bhi guhar tha

ashkon ki maayyat mein the maghoom andhere
sadmaat ki har sej mein ik khauf ka ghar tha

patte hon ki fal sab ka tha ik aur hi aalam
hairat hai magar is pe ki baunaa vo shajar tha

darwaaze makaanon ke hue band sar-e-shaam
kahte hain magar ye ki jiyaalon ka nagar tha

kaisi vo havas thi ki bani maujib-e-taazeer
jannat se nikalwa diya kaisa vo samar tha

ज़ख़्मों की मुनाजात में पिन्हाँ वो असर था
आँखों से टपकता हुआ आँसू भी गुहर था

अश्कों की मअय्यत में थे मग़्मूम अंधेरे
सदमात की हर सेज में इक ख़ौफ़ का घर था

पत्ते हों कि फल सब का था इक और ही आलम
हैरत है मगर इस पे कि बौना वो शजर था

दरवाज़े मकानों के हुए बंद सर-ए-शाम
कहते हैं मगर ये कि जियालों का नगर था

कैसी वो हवस थी कि बनी मौजिब-ए-ताज़ीर
जन्नत से निकलवा दिया कैसा वो समर था

  - Yusuf Jamal

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yusuf Jamal

As you were reading Shayari by Yusuf Jamal

Similar Writers

our suggestion based on Yusuf Jamal

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari