kore kaaghaz ki tarah be-noor babon mein raha
teergi ka haashiya ban kar kitaabon mein raha
main aziyyat-naak lamhon ke itaabon mein raha
dard ka qaaidi bana khaana kharaabon mein raha
jis qadar di jism ko maqrooz saanson ki zakaat
kya bataaun jism utna hi azaabon mein raha
be-sifat sehra hoon kyun sahra-navardon ne kaha
har qadam par jab ki main andhe saraabo mein raha
waqt ki mahroomiyon ne cheen li meri zabaan
warna ik muddat talak main la-jawaabon mein raha
dhoondte ho kyun jali tahreer ke asbaaq mein
main to kohre ki tarah dhundle nisaabon mein raha
कोरे काग़ज़ की तरह बे-नूर बाबों में रहा
तीरगी का हाशिया बन कर किताबों में रहा
मैं अज़िय्यत-नाक लम्हों के इताबों में रहा
दर्द का क़ैदी बना ख़ाना ख़राबों में रहा
जिस क़दर दी जिस्म को मक़रूज़ साँसों की ज़कात
क्या बताऊँ जिस्म उतना ही अज़ाबों में रहा
बे-सिफ़त सहरा हूँ क्यूँ सहरा-नवर्दों ने कहा
हर क़दम पर जब कि मैं अंधे सराबों में रहा
वक़्त की महरूमियों ने छीन ली मेरी ज़बान
वर्ना इक मुद्दत तलक मैं ला-जवाबों में रहा
ढूँडते हो क्यूँ जली तहरीर के अस्बाक़ में
मैं तो कोहरे की तरह धुँदले निसाबों में रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Jamal
our suggestion based on Yusuf Jamal
As you were reading Urdu Shayari Shayari