har paikar-e-raanaai ne mujhe teri hi yaad dilaai hai
kuchh ishq mera harjaai hai kuchh husn tira harjaai hai
haan soch samajh kar kyoon main vo patthar hoon kinaare ka
jo mauj bhanwar se nikli hai uth kar mujh se takraai hai
thehraav hai waz-e-saahil mein toofaan to nahin barpa dil mein
kajla to chala hai angaara aise mein hawa purvaai hai
chaahat mein kisi ki jeeta hoon soorat pe kisi ki marta hoon
ye jeena mujh ko bhaaya hai ye maut mujhe raas aayi hai
kuchh tera bhi armaan rahe aur kuchh apna bhi dhyaan rahe
itni to mujhe pehchaan rahe ye vasl hai ya tanhaai hai
ye lambi raat ye be-khwabi ye karvat karvat betaabi
mausam ke basanti chheenton ne kya aag jigar mein lagaaee hai
ai ahl-e-khirad ham deewane jab soo-e-chaman ja nikle hain
kaanton ko sar par rakha hai phoolon se aankh churaai hai
हर पैकर-ए-रानाई ने मुझे तेरी ही याद दिलाई है
कुछ इश्क़ मिरा हरजाई है कुछ हुस्न तिरा हरजाई है
हाँ सोच समझ कर जान-ए-वफ़ा मैं वो पत्थर हूँ किनारे का
जो मौज भँवर से निकली है उठ कर मुझ से टकराई है
ठहराव है वज़-ए-साहिल में तूफ़ाँ तो नहीं बरपा दिल में
कजला तो चला है अँगारा ऐसे में हवा पुर्वाई है
चाहत में किसी की जीता हूँ सूरत पे किसी की मरता हूँ
ये जीना मुझ को भाया है ये मौत मुझे रास आई है
कुछ तेरा भी अरमान रहे और कुछ अपना भी ध्यान रहे
इतनी तो मुझे पहचान रहे ये वस्ल है या तन्हाई है
ये लम्बी रात ये बे-ख़्वाबी ये करवट करवट बेताबी
मौसम के बसंती छींटों ने क्या आग जिगर में लगाई है
ऐ अहल-ए-ख़िरद हम दीवाने जब सू-ए-चमन जा निकले हैं
काँटों को सर पर रक्खा है फूलों से आँख चुराई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Jamal
our suggestion based on Yusuf Jamal
As you were reading Ishq Shayari Shayari