laghzishein tanhaaiyon ki sab bata di jaayengi | लग़्ज़िशें तन्हाइयों की सब बता दी जाएँगी

  - Yusuf Jamal

laghzishein tanhaaiyon ki sab bata di jaayengi
rangtein chehron ki is soorat uda di jaayengi

khushk pedon par naye mausam ugaane ke liye
zard patton ki ye tahreeren mita di jaayengi

qahat neendon ka padega chaahaton ke khet mein
khwaab ki faslen agar saari jala di jaayegi

in saraabo mein muqayyad mujh se qaaidi ke liye
kya faseelen ret ki unchi utha di jaayengi

phir samundar ke makaanon ka bhi lenge jaaiza
seedhiyaan paani ki tah tak jab bana di jaayengi

kya khabar thi shak ki khaatir dosti ke naam par
aaj apni aasteinen bhi dikha di jaayengi

jaaiza jab mere ghar ka lene vo aaye jamaal
tooti footi haandiyaan bhi khankana di jaayengi

लग़्ज़िशें तन्हाइयों की सब बता दी जाएँगी
रंगतें चेहरों की इस सूरत उड़ा दी जाएँगी

ख़ुश्क पेड़ों पर नए मौसम उगाने के लिए
ज़र्द पत्तों की ये तहरीरें मिटा दी जाएँगी

क़हत नींदों का पड़ेगा चाहतों के खेत में
ख़्वाब की फ़सलें अगर सारी जला दी जाएगी

इन सराबों में मुक़य्यद मुझ से क़ैदी के लिए
क्या फ़सीलें रेत की ऊँची उठा दी जाएँगी

फिर समुंदर के मकानों का भी लेंगे जाएज़ा
सीढ़ियाँ पानी की तह तक जब बना दी जाएँगी

क्या ख़बर थी शक की ख़ातिर दोस्ती के नाम पर
आज अपनी आस्तीनें भी दिखा दी जाएँगी

जाएज़ा जब मेरे घर का लेने वो आए 'जमाल'
टूटी फूटी हांडियाँ भी खंखना दी जाएँगी

  - Yusuf Jamal

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yusuf Jamal

As you were reading Shayari by Yusuf Jamal

Similar Writers

our suggestion based on Yusuf Jamal

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari