socha ki vaa ho sabz dareecha jo band tha
peelahton ka chehra bahut fikrmand tha
har saans thooktee thi lahu zard rang ka
har shakhs us gali ka aziyyat-pasand tha
meethe tabassumon ko liye sab se baat ki
khud se kiya kalaam to lab zahar-qand tha
baunaa tha vo zaroor magar is ke baawajood
kirdaar ke lihaaz se qad ka buland tha
main ne fasil-e-shab ko muqaddar nahin kiya
teera-shabee mein ghir ke bhi dil arjumand tha
सोचा कि वा हो सब्ज़ दरीचा जो बंद था
पीलाहटों का चेहरा बहुत फ़िक्रमंद था
हर साँस थूकती थी लहू ज़र्द रंग का
हर शख़्स उस गली का अज़िय्यत-पसंद था
मीठे तबस्सुमों को लिए सब से बात की
ख़ुद से किया कलाम तो लब ज़हर-क़ंद था
बौना था वो ज़रूर मगर इस के बावजूद
किरदार के लिहाज़ से क़द का बुलंद था
मैं ने फ़सील-ए-शब को मुक़द्दर नहीं किया
तीरा-शबी में घिर के भी दिल अर्जुमंद था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Jamal
our suggestion based on Yusuf Jamal
As you were reading Romance Shayari Shayari