ham rivaayat ke saanche mein dhalti bhi hain | हम रिवायत के साँचे में ढलते भी हैं

  - Yusuf Jamal

ham rivaayat ke saanche mein dhalti bhi hain
aur tarz-e-kuhan ko badalte bhi hain

jaada-e-aam par bhi hai apni nazar
jaada-e-aam se bach ke chalte bhi hain

raahibaana qanaat ke khugar sahi
waalihana kabhi ham machalte bhi hain

daaman-e-nashsha dete nahin haath se
rind girte bhi hain aur sambhalte bhi hain

yun to ikhfaa-e-gham ka namoona hain ham
doosron ke liye haath malte bhi hain

kuchh ye hai maslahat-kesh ham bhi nahin
kuchh ye ahl-e-riya ham se jalte bhi hain

naaz kya is qadar aarzi husn par
shehryaaron ke sikke badalte bhi hain

हम रिवायत के साँचे में ढलते भी हैं
और तर्ज़-ए-कुहन को बदलते भी हैं

जादा-ए-आम पर भी है अपनी नज़र
जादा-ए-आम से बच के चलते भी हैं

राहिबाना क़नाअत के ख़ूगर सही
वालिहाना कभी हम मचलते भी हैं

दामन-ए-नश्शा देते नहीं हात से
रिंद गिरते भी हैं और सँभलते भी हैं

यूँ तो इख़फ़ा-ए-ग़म का नमूना हैं हम
दूसरों के लिए हात मलते भी हैं

कुछ ये है मस्लहत-केश हम भी नहीं
कुछ ये अहल-ए-रिया हम से जलते भी हैं

नाज़ क्या इस क़दर आरज़ी हुस्न पर
शहरयारों के सिक्के बदलते भी हैं

  - Yusuf Jamal

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yusuf Jamal

As you were reading Shayari by Yusuf Jamal

Similar Writers

our suggestion based on Yusuf Jamal

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari