fikr-e-baalida ki nudrat se nikhrate hain khayal | फ़िक्र-ए-बालीदा की नुदरत से निखरते हैं ख़याल

  - Yusuf Qamar

fikr-e-baalida ki nudrat se nikhrate hain khayal
aur agar zehn-e-rasa ho to sanvarte hain khayal

aql kab karti hai farsooda khayaalon ko qubool
fikr bedaar agar ho to ubharte hain khayal

jiddat-e-fikr se afkaar ko milti hai numoo
husn-e-kirdaar ki raahon se guzarte hain khayal

zahn khaaliq hai khayaalaat ka tasleem magar
zahn par soorat-e-ilhaam utarte hain khayal

sohbat iqbaal ki afkaar ko deti hai jila
un ki sohbat mein bahut khoob nikhrate hain khayal

muntashir zahn agar ho to nateeja maaloom
soorat-e-kaah hawaon mein bikharte hain khayal

zahn ko fikr ki tahreek jo mil jaaye qamar
mahsharistaan ki soorat mein guzarte hain khayal

फ़िक्र-ए-बालीदा की नुदरत से निखरते हैं ख़याल
और अगर ज़ेहन-ए-रसा हो तो सँवरते हैं ख़याल

अक़्ल कब करती है फ़र्सूदा ख़यालों को क़ुबूल
फ़िक्र बेदार अगर हो तो उभरते हैं ख़याल

जिद्दत-ए-फ़िक्र से अफ़्कार को मिलती है नुमू
हुस्न-ए-किरदार की राहों से गुज़रते हैं ख़याल

ज़ह्न ख़ालिक़ है ख़यालात का तस्लीम मगर
ज़ह्न पर सूरत-ए-इल्हाम उतरते हैं ख़याल

सोहबत इक़बाल की अफ़्कार को देती है जिला
उन की सोहबत में बहुत ख़ूब निखरते हैं ख़याल

मुंतशिर ज़ह्न अगर हो तो नतीजा मालूम
सूरत-ए-काह हवाओं में बिखरते हैं ख़याल

ज़ह्न को फ़िक्र की तहरीक जो मिल जाए 'क़मर'
महशरिस्तान की सूरत में गुज़रते हैं ख़याल

  - Yusuf Qamar

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yusuf Qamar

As you were reading Shayari by Yusuf Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Yusuf Qamar

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari