dayaar-e-ghair mein apne dayaar ki baatein
hon jaise ahad-e-khizaan mein bahaar ki baatein
jahaan-e-ishq mein ahl-e-dimaagh mat dhunden
sukoon-e-qalb ki baatein qaraar ki baatein
hazaar fitnon ka maskan hai seena-e-aadam
rumooz-e-aharman-o-kirdagaar ki baatein
kashaaksh-e-gham-e-duniya se jab milegi najaat
karenge gesu-o-rukhsaar-e-yaar ki baatein
mera dimaagh bhi majboor dil bhi hai majboor
main kis zabaan se karoon ikhtiyaar ki baatein
qamar humeen se hain sher-o-adab ke hangaame
karoge yaad ghareeb-ud-dayaar ki baatein
दयार-ए-ग़ैर में अपने दयार की बातें
हों जैसे अहद-ए-ख़िज़ाँ में बहार की बातें
जहान-ए-इश्क़ में अहल-ए-दिमाग़ मत ढूँडें
सुकून-ए-क़ल्ब की बातें क़रार की बातें
हज़ार फ़ित्नों का मस्कन है सीना-ए-आदम
रुमूज़-ए-अहरमन-ओ-किर्दगार की बातें
कशाकश-ए-ग़म-ए-दुनिया से जब मिलेगी नजात
करेंगे गेसू-ओ-रुख़्सार-ए-यार की बातें
मिरा दिमाग़ भी मजबूर दिल भी है मजबूर
मैं किस ज़बाँ से करूँ इख़्तियार की बातें
'क़मर' हमीं से हैं शेर-ओ-अदब के हंगामे
करोगे याद ग़रीब-उद-दयार की बातें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Qamar
our suggestion based on Yusuf Qamar
As you were reading Chaand Shayari Shayari