door takzeeb ka farhaad hoon meri khaatir
haq ki awaaz sadaqat ki aur sheerin hai
mera mansab hai husool-e-sheerin
wasl-e-sheerin. ke liye tesha uthaata hoon main
tesha-e-azm-o-yakeen jo abhi kund nahin
seena-e-sang abhi khushk nahin
har rag sang mein ik jooe ravaan pinhaan hai
main ki farhaad hoon rag rag mein meri
shola-e-qatra-e-khoon jaulaan hai
meri gardan pe hai sarbaar amaanat ki tarah
mere hi teshe se kat saka hai lekin ye kabhi
jhuk to saka hi nahin
jut gaye haath uthe aur bane ek kamaan
toot sakti nahin haathon ki kamaan
chhoot saka nahin tesha mera
is ki har zarb-e-jawaan se jab tak
reza reza nahin ho
zulm-o-takzeeb ka ye koh-e-giraan
दूर तकज़ीब का फ़रहाद हूँ मेरी ख़ातिर
हक़ की आवाज़ सदाक़त की और शीरीं है
मेरा मंसब है हुसूल-ए-शीरीं
वस्ल-ए-शीरीं के लिए तेशा उठाता हूँ मैं
तेशा-ए-अज़्म-ओ-यकीं जो अभी कुंद नहीं
सीना-ए-संग अभी ख़ुश्क नहीं
हर रग संग में इक जूए रवाँ पिन्हाँ है
मैं कि फ़रहाद हूँ रग रग में मिरी
शो'ला-ए-क़तरा-ए-ख़ूँ जौलाँ है
मेरी गर्दन पे है सरबार अमानत की तरह
मेरे ही तेशे से कट सकता है लेकिन ये कभी
झुक तो सकता ही नहीं
जुट गए हाथ उठे और बने एक कमाँ
टूट सकती नहीं हाथों की कमाँ
छूट सकता नहीं तेशा मेरा
इस की हर ज़र्ब-ए-जवाँ से जब तक
रेज़ा रेज़ा नहीं हो
ज़ुल्म-ओ-तकज़ीब का ये कोह-ए-गिराँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zaheer Siddiqui
As you were reading Protest Shayari Shayari