gehre shehron mein rahne se wusa'at ka ehsaas mita | गहरे शहरों में रहने से वुसअ'त का एहसास मिटा

  - Zahid Dar

gehre shehron mein rahne se wusa'at ka ehsaas mita
la-mahdood khalaon ki khaamoshi ka
khauf mita

ab aaraam hai
jungle ka jaadu aur hawaon ka sangeet nahin to kya hai
ab aaraam ki ab agyaan ke paida-karda haath nahin
zalim haath ki jin haathon mein haath diye
mazhab ke veeraanon mein main maara maara firta tha
ab aaraam
samundar ki awaaz nahin to kya hai
us basti ki sab galiyon mein chalne ki aazaadi hai
us basti ki galiyon ke naamon mein neki aur badi ke naam nahin
seedhe-saade naam hain jaise laalach gussa bhook mohabbat nafrat
sab galiyon mein chalne ki aazaadi hai
shehar nahin hain chaaron jaanib shor hi shor hai kya hai

gehre shehron mein rahne se azmat ka ehsaas mita
lambe hamlo par jaane ka qudrat se takraane ka armaan mita
ab aaraam hai shehron mein insaan mita

गहरे शहरों में रहने से वुसअ'त का एहसास मिटा
ला-महदूद ख़लाओं की ख़ामोशी का
ख़ौफ़ मिटा

अब आराम है
जंगल का जादू और हवाओं का संगीत नहीं तो क्या है
अब आराम कि अब अज्ञान के पैदा-कर्दा हाथ नहीं
ज़ालिम हाथ कि जिन हाथों में हाथ दिए
मज़हब के वीरानों में मैं मारा मारा फिरता था
अब आराम
समुंदर की आवाज़ नहीं तो क्या है
उस बस्ती की सब गलियों में चलने की आज़ादी है
उस बस्ती की गलियों के नामों में नेकी और बदी के नाम नहीं
सीधे-सादे नाम हैं जैसे लालच ग़ुस्सा भूक मोहब्बत नफ़रत
सब गलियों में चलने की आज़ादी है
शहर नहीं हैं चारों जानिब शोर ही शोर है क्या है

गहरे शहरों में रहने से अज़्मत का एहसास मिटा
लम्बे हमलों पर जाने का क़ुदरत से टकराने का अरमान मिटा
अब आराम है शहरों में इंसान मिटा

  - Zahid Dar

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Dar

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari