kis tarah eimaan laaun khwaab ki taabeer par | किस तरह ईमान लाऊँ ख़्वाब की ताबीर पर

  - Zia Mazkoor

kis tarah eimaan laaun khwaab ki taabeer par
chipkali chadhte hue dekhi hai us tasveer par

usne aisi kothri mein qaid rakha tha hamein
raushni aankhon pe padtii thi ya phir zanjeer par

maayein beton se khafa hain aur bete maon se
ishq ghalib aa gaya hai doodh ki taaseer par

main unhin aabaadiyon mein jee raha hota kahi
tum agar hanste nahin us din meri taqdeer par

किस तरह ईमान लाऊँ ख़्वाब की ताबीर पर
छिपकली चढ़ते हुए देखी है उस तस्वीर पर

उसने ऐसी कोठरी में क़ैद रक्खा था हमें
रौशनी आँखों पे पड़ती थी या फिर ज़ंजीर पर

माएँ बेटों से ख़फ़ा हैं और बेटे माओं से
इश्क़ ग़ालिब आ गया है दूध की तासीर पर

मैं उन्हीं आबादियों में जी रहा होता कहीं
तुम अगर हँसते नहीं उस दिन मेरी तक़दीर पर

  - Zia Mazkoor

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zia Mazkoor

As you were reading Shayari by Zia Mazkoor

Similar Writers

our suggestion based on Zia Mazkoor

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari