hauslon ne to kaha ki aasmaan chahiye
par mere zameer ko to bas makaan chahiye
chaand kaise lipta tha badan se uske kuchh dinon
shab ko ye bataane ke liye zabaan chahiye
chhote-chhote apne in paron se naap le jahaan
pakshiyon ko ek aisi hi udaan chahiye
kaaynaat ki haveliyon ko shams le gaya
in sitaaron ko bhi koi saayebaan chahiye
haashie pe le ke aa gaye hain kaayenaat ko
titliyon ko unke hisse ka jahaan chahiye
हौसलों ने तो कहा कि आसमान चाहिए
पर मिरे ज़मीर को तो बस मकान चाहिए
चाँद कैसे लिपटा था बदन से उसके कुछ दिनों
शब को ये बताने के लिए ज़बान चाहिए
छोटे-छोटे अपने इन परों से नाप ले जहाँ
पक्षियों को एक ऐसी ही उड़ान चाहिए
कायनात की हवेलियों को शम्स ले गया
इन सितारों को भी कोई साएबान चाहिए
हाशिए पे ले के आ गए हैं काएनात को
तितलियों को उनके हिस्से का जहान चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Duniya Shayari Shayari