khizaan ka phool baarish ki taraanon mein nahin rakha | ख़िज़ाँ का फूल बारिश की तरानों में नहीं रक्खा

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

khizaan ka phool baarish ki taraanon mein nahin rakha
kisi aandhi ne khud ko aasmaanon mein nahin rakha

hamaare paanv waakif hain zameenon ki hararat se
kabhi hamne halk unche makaanon mein nahin rakha

ki jaate jaate har ik jang kah jaati hai lashkar se
ki kyun talwaaron ko tumne miyaanon mein nahin rakha

hamaara lehza odhe chalti hai kaagaz pe har kalikh
ye jo aawaaz hai isko fer-badal mein nahin rakha

kisi ne rakha un tooti chhato ka malba aangan mein
kisi ne apna heera bhi khazaanon mein nahin rakha

chalo phir bhookh lekar dauden un gaavon ki sadkon par
yahan ik anna bhi in kaarkhaanon mein nahin rakha

ye maana maut to parvat hai par is baat se khush hain
kabhi kankar si saanson ko bahaanon mein nahin rakha

ख़िज़ाँ का फूल बारिश की तरानों में नहीं रक्खा
किसी आँधी ने ख़ुद को आसमानों में नहीं रक्खा

हमारे पाँव वाकिफ़ हैं ज़मीनों की हरारत से
कभी हमने हलक ऊँचे मकानों में नहीं रक्खा

कि जाते जाते हर इक जंग कह जाती है लश्कर से
कि क्यों तलवारों को तुमने मियानों में नहीं रक्खा

हमारा लहज़ा ओढ़े चलती है कागज़ पे हर कालिख़
ये जो आवाज़ है इसको ज़बानों में नहीं रक्खा

किसी ने रक्खा उन टूटी छतों का मलबा आँगन में
किसी ने अपना हीरा भी ख़ज़ानों में नहीं रक्खा

चलो फिर भूख लेकर दौड़ें उन गाँवों की सड़कों पर
यहाँ इक अन्न भी इन कारख़ानों में नहीं रक्खा

ये माना मौत तो पर्वत है पर इस बात से ख़ुश हैं
कभी कंकर सी साँसों को बहानों में नहीं रक्खा

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari