mit gai khilish na jaane kab mujhe nahin pata
kaanton ki lagi hai kyun talab mujhe nahin pata
mera har jharokha chun diya gaya agar to phir
mujhko kaun bechta hai shab mujhe nahin pata
khush bahut hai mera humsafar har ek mod par
aisa mujhse kya hua gazab mujhe nahin pata
paanv beriyon mein zyaada tez chalne lag gaye
kuchh na kuchh zaroor hai sabab mujhe nahin pata
aankhen naak kaan gaal to haseen the bahut
kya the itne hi haseen lab mujhe nahin pata
aasmaan bhi paar kar liya ab unki saanson ne
unki yaadein thak ke baitheen kab mujhe nahin pata
मिट गई ख़लिश न जाने कब मुझे नहीं पता
काँटों की लगी है क्यों तलब मुझे नहीं पता
मेरा हर झरोखा चुन दिया गया अगर तो फिर
मुझको कौन बेचता है शब मुझे नहीं पता
ख़ुश बहुत है मेरा हमसफ़र हर एक मोड़ पर
ऐसा मुझसे क्या हुआ ग़ज़ब मुझे नहीं पता
पाँव बेड़ियों में ज़्यादा तेज़ चलने लग गए
कुछ न कुछ ज़रूर है सबब मुझे नहीं पता
आँखें नाक कान गाल तो हसीन थे बहुत
क्या थे इतने ही हसीन लब मुझे नहीं पता
आसमाँ भी पार कर लिया अब उनकी साँसों ने
उनकी यादें थक के बैठीं कब मुझे नहीं पता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading I Miss you Shayari Shayari