teri andheri shab ka sahaara na ban saka | तेरी अँधेरी शब का सहारा न बन सका

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

teri andheri shab ka sahaara na ban saka
main bhi vo jugnoo tha jo sitaara na ban saka

dekhi gayi na mujh se kisi raahi ki talab
saahil to ban gaya main haan khaara na ban saka

mujh ko to dekhna tha ye banjar zameenon ko
is wajah se nadi ka kinaara na ban saka

jhuk jaaye jo haya se maa ki rob si halk
aisa koi bhi lehza hamaara na ban saka

ik aankh bhi na ghoomi tiri or achyutam
tu doobte hue bhi nazaara na ban saka

तेरी अँधेरी शब का सहारा न बन सका
मैं भी वो जुगनू था जो सितारा न बन सका

देखी गयी न मुझ से किसी राही की तलब
साहिल तो बन गया मैं हाँ खारा न बन सका

मुझ को तो देखना था ये बंजर ज़मीनों को
इस वजह से नदी का किनारा न बन सका

झुक जाए जो हया से माँ की रोब सी हलक
ऐसा कोई भी लहज़ा हमारा न बन सका

इक आँख भी न घूमी तिरी ओर अच्युतम
तू डूबते हुए भी नज़ारा न बन सका

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari