is milan ki raat ka ab kya karein
jo mili us maat ka ab kya karein
ham tujhe apna banaane chal diye
lauti ghar baaraat ka ab kya karein
haath thaama kyun nahin tumne mera
yaad ki khairaat ka ab kya karein
chhod jaate hain ghareebi mein sabhi
likhne waale zaat ka ab kya karein
aadatan jalte rahe jo umr bhar
mausami barsaat ka ab kya karein
इस मिलन की रात का अब क्या करें
जो मिली उस मात का अब क्या करें
हम तुझे अपना बनाने चल दिए
लौटी घर बारात का अब क्या करें
हाथ थामा क्यों नहीं तुमने मेरा
याद की ख़ैरात का अब क्या करें
छोड़ जाते हैं ग़रीबी में सभी
लिखने वाले ज़ात का अब क्या करें
आदतन जलते रहे जो उम्र भर
मौसमी बरसात का अब क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Wajood Shayari Shayari