makaan khaali raha kamra nahin chhodaa | मकाँ ख़ाली रहा कमरा नहीं छोड़ा

  - Chetan

makaan khaali raha kamra nahin chhodaa
kabhi haq ke liye zimma nahin chhodaa

bahak jaayen na ham bhi hosh mein aa kar
wafa thaame rahe nashsha nahin chhodaa

kai rishton ko toda hai magar hamne
kabhi rota hua banda nahin chhodaa

bataaye vo kabhi ab kya sambhaale hai
mujhe chhodaa tha jisne kya nahin chhodaa

agarche hamne pairo'n ko bhi pakda tha
magar un haathon ne basta nahin chhodaa

मकाँ ख़ाली रहा कमरा नहीं छोड़ा
कभी हक़ के लिए ज़िम्मा नहीं छोड़ा

बहक जाएँ न हम भी होश में आ कर
वफ़ा थामे रहे नश्शा नहीं छोड़ा

कई रिश्तों को तोड़ा है मगर हमने
कभी रोता हुआ बंदा नहीं छोड़ा

बताए वो कभी अब क्या सँभाले है
मुझे छोड़ा था जिसने क्या नहीं छोड़ा

अगरचे हमने पैरों को भी पकड़ा था
मगर उन हाथों ने बस्ता नहीं छोड़ा

  - Chetan

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chetan

As you were reading Shayari by Chetan

Similar Writers

our suggestion based on Chetan

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari