toote dil sheeshe ki chaahat nahin dekhi jaati | टूटे दिल, शीशे की चाहत नहीं देखी जाती - Omkar Bhaskar Das

toote dil sheeshe ki chaahat nahin dekhi jaati
ab kisi haal ye soorat nahin dekhi jaati

apnen bandon ko khuda bakhsh de barkat hamse
muflison ki yun aziyat nahin dekhi jaati

dil ko akshar ye hi dikkat rahi ke logon se
zaat ke aage mohabbat nahin dekhi jaati

ek shab vasl ki sohbat mein guzaari hamne
aur tab se shab-e-furqat nahin dekhi jaati

ye jo tum titli ke par noche ho akshar kya
tumse ik titli ki zeenat nahin dekhi jaati

tere nafrat ke vo kisse sune hamne ke ab
shahre-dil teri hukoomat nahin dekhi jaati

gar ghazal kahni hi hai daas saleeka seekho
hamse urdu ki yoon zillat nahin dekhi jaati

टूटे दिल, शीशे की चाहत नहीं देखी जाती
अब किसी हाल ये सूरत नहीं देखी जाती

अपनें बन्दों को खुदा बख़्श दे बरकत, हमसे
मुफलिसों की यूँ अज़ीयत नहीं देखी जाती

दिल को अक्सर ये ही दिक्कत रही, के लोगों से
ज़ात के आगे मोहब्बत नहीं देखी जाती

एक शब वस्ल की सोहबत में गुज़ारी हमने
और तब से शबे-फुर्कत नहीं देखी जाती

ये जो तुम तितली के पर नोचते हो अक्सर ,क्या
तुमसे इक तितली की ज़ीनत नहीं देखी जाती

तेरे नफरत के वो किस्से सुने हमने, के अब
शहरे-दिल तेरी हुकूमत नहीं देखी जाती

गर ग़ज़ल कहनी ही है 'दास', सलीका सीखो
हमसे उर्दू की यों ज़िल्लत नहीं देखी जाती

- Omkar Bhaskar Das
2 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Omkar Bhaskar Das

As you were reading Shayari by Omkar Bhaskar Das

Similar Writers

our suggestion based on Omkar Bhaskar Das

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari