sab chaand nikalne ki taraf dekh rahein hain
ham chaand se chehre ki taraf dekh rahein hain
tu laut ke aajaayega ummeed hai ab bhi
ham baith ke raaste ki taraf dekh rahein hain
khidki ki taraf vo hai aur us ke bagal ham
ham khidki ka sheeshe ki taraf dekh rahein hain
ham ko na khabar kuchh kisi duniya ki bala ka
ham husn tumhaare ki taraf dekh rahein hain
iq pal mein bhula baitheen hain duniya ke masaail
iq chhote se bacche ki taraf dekh rahein hain
सब चाँद निकलने की तरफ़ देख रहें हैं
हम चाँद से चेहरे की तरफ़ देख रहें हैं
तू लौट के आजाएगा उम्मीद है अब भी
हम बैठ के रास्ते की तरफ़ देख रहें हैं
खिड़की की तरफ वो है और उस के बगल हम
हम खिड़की क शीशे की तरफ़ देख रहें हैं
हम को न ख़बर कुछ किसी दुनिया की बला का
हम हुस्न तुम्हारे की तरफ़ देख रहें हैं
इक़ पल में भुला बैठें हैं दुनिया के मसाइल
इक़ छोटे से बच्चे की तरफ़ देख रहें हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Asghar
our suggestion based on Shadab Asghar
As you were reading Eid Shayari Shayari