prerak | "प्रेरक" - Rudhraxx

prerak

din bhar mein padhta tha dinkar
aur munshi jee ke lekh
shuroo se pasand the mujhe ghalib aur faiz
niraala tha bachpan mera
john sahab se jaise koi rishta hai
bhagat singh ke vichaaro se
pririt main aur mere jaise anek
harivansh jee ki madhushaala mein
doobne ka karta hai man kabhi
to kabhi fasla hua apno se
to nida faazli ke qareeb gaya main
amrita preetam jee se jaana ki
khuda lega imtihaan mera bhi ishq mein
saahir sa likh paau main bhi kabhi
kumar ko padhke ye vishwas jaga mujhmein

"प्रेरक"

दिन भर में पढ़ता था 'दिनकर'
और 'मुंशी जी' के लेख
शुरू से पसंद थे मुझे 'ग़ालिब' और 'फ़ैज़'
'निराला' था बचपन मेरा
'जॉन साहब' से जैसे कोई रिश्ता है
'भगत सिंह' के विचारो से
प्रेरित मैं और मेरे जैसे अनेक
'हरिवंश जी' की मधुशाला में
डूबने का करता है मन कभी
तो कभी फ़ासला हुआ अपनो से
तो 'निदा फ़ाजली' के क़रीब गया मैं
'अमृता प्रीतम जी' से जाना की
खुदा लेगा इम्तिहान मेरा भी इश्क़ में
'साहिर' सा लिख पाऊँ मैं भी कभी
'कुमार' को पढ़के ये 'विश्वास' जगा मुझमें

- Rudhraxx
5 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Rudhraxx

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari