naqsh-o-nigaar khud pe banaati hai roz roz | नक़्श-ओ-निगार ख़ुद पे बनाती है रोज़ रोज़ - Faisal khan

naqsh-o-nigaar khud pe banaati hai roz roz
khaatir mere vo khud ko sajaati hai roz roz

maine bataaya khwaab mein aate hain is tarah
neendon mein mere tab se vo aati hai roz roz

main ek arse क़ब्ल,था qazzak se mila
vehshat vo aaj tak bhi daraati hai roz roz

usko pata hai laut ke aana hai phir yahin
is wazh se vo rooth ke jaati hai roz roz

poocha मुझे,गुलाब ko english mein kya kahoon
maine kaha jo baag se laati hai रोज़,रोज़

patthar ko mom karne ka aata hai usko fan
nagme isiliye vo sunaati hai roz roz

faisal talash-e-rab mein pahaado ko jaayega
unchaaiyaan use to bulaati hai roz roz

नक़्श-ओ-निगार ख़ुद पे बनाती है रोज़ रोज़
ख़ातिर मेरे वो ख़ुद को सजाती है रोज़ रोज़

मैंने बताया ख़्वाब में आते हैं इस तरह
नींदों में मेरे तब से वो आती है रोज़ रोज़

मैं एक अर्से क़ब्ल,था क़ज़्ज़ाक से मिला
वहशत वो आज तक भी डराती है रोज़ रोज़

उसको पता है लौट के आना है फिर यहीं
इस वज़ह से वो रूठ के जाती है रोज़ रोज़

पूछा मुझे,गुलाब को इंग्लिश में क्या कहूँ
मैंने कहा जो बाग़ से लाती है रोज़,रोज़

पत्थर को मोम करने का आता है उसको फ़न
नग़मे इसीलिए वो सुनाती है रोज़ रोज़

फ़ैसल तलाश-ए-रब में पहाड़ो को जाएगा
ऊंचाइयां उसे तो बुलाती है रोज़ रोज़

- Faisal khan
3 Likes

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari