koi aisi kahaani mukammal na ho | कोई ऐसी कहानी मुकम्मल न हो - Faisal khan

koi aisi kahaani mukammal na ho
jiske aakhir mein koi bhi paagal na ho

khauf aane laga hai mujhe dasht mein
ab to basne ko sehra ho jungle na ho

maine poocha yahan kyun ye kheme lage
phir ye socha ki shaayad yaa hotel na ho

baat kar yun ishaare se jisse tera
kaam saara nikal jaaye halchal na ho

unki guzri hai har raat bas khauf mein
jinke dar pe lagaane ko argal na ho

hain talabgaar sab daad-o-tahseen ke
ye wahi hain ki dil jinke komal na ho

vo qabeela bikhar jaaye jismein koi
adl-o-insaaf karne ko faisal na ho

कोई ऐसी कहानी मुकम्मल न हो
जिसके आख़िर में कोई भी पागल न हो

ख़ौफ़ आने लगा है मुझे दश्त में
अब तो बसने को सहरा हो जंगल न हो

मैंने पूछा यहाँ क्यूँ ये ख़ेमे लगे
फिर ये सोचा कि शायद याँ होटल न हो

बात कर यूँ इशारे से जिससे तेरा
काम सारा निकल जाए, हलचल न हो

उनकी गुज़री है हर रात बस ख़ौफ़ में
जिनके दर पे लगाने को अरगल न हो

हैं तलबगार सब दाद-ओ-तहसीन के
ये वही हैं कि दिल जिनके कोमल न हो

वो क़बीला बिखर जाए जिसमें कोई
अद्ल-ओ-इंसाफ करने को फ़ैसल न हो

- Faisal khan
2 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari