door hone ka koi mausam na ho | दूर होने का कोई मौसम न हो - Faisal khan

door hone ka koi mausam na ho
chain raahat aafiyat ho gham na ho

aisi aankhon ka pata do tum mujhe
chhoti chhoti baat par jo nam na ho

roz kal par taalte ho kyun mujhe
faayda kya tab milo jab dam na ho

ho mohabbat gar kisi se ab kabhi
to juda hone ka phir system na ho

rooh khush ho is janaaze ki bhi jab
is janaaze pe agar maatam na ho

har dagaa aasaani se sah saka hoon
shart hai usmein koi hamdam na ho

bazm ka faisal banaya hai tujhe
dekhna mazdoor ka haq kam na ho

दूर होने का कोई मौसम न हो
चैन राहत आफि़यत हो ग़म न हो

ऐसी आँखों का पता दो तुम मुझे
छोटी छोटी बात पर जो नम न हो

रोज़ कल पर टालते हो क्यूँ मुझे
फ़ायदा क्या तब मिलो जब दम न हो

हो महब्बत गर किसी से अब कभी
तो जुदा होने का फिर सिस्टम न हो

रूह ख़ुश हो इस जनाज़े की भी जब
इस जनाज़े पे अगर मातम न हो

हर दग़ा आसानी से सह सकता हूँ
शर्त है उसमें कोई हमदम न हो

बज़्म का फ़ैसल बनाया है तुझे
देखना मज़दूर का हक़ कम न हो

- Faisal khan
2 Likes

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari