roz main sochta aayega kal sukoon | रोज़ मैं सोचता आएगा कल सुकून - Faisal khan

roz main sochta aayega kal sukoon
jo ki ban jaayega ik musalsal sukoon

dar-b-dar main sukoon ki talab mein fira
aur socha ki shaayad ho जंगल,सुकून

haath rakh shaane पे,कुछ dilaasa bhi de
isse mumkin hai aa jaaye kuch pal sukoon

raat ye kaun aakar mujhe kah gaya
dhyaan se सुन,मिलेगा tujhe kal sukoon

bolkar jhooth vo taalta hai mujhe
mujhko kar de na aakhir ye पागल,सुकून

shaano-shauqat se rehta tha वो,और ab
maangata hai ki mil jaaye do pal sukoon

zere nigraani bacche bade hote jab
to rahe waalidain ko bhi har pal sukoon

jis bhi auqaat tu meri baahon mein ho
main kahoon isko hi to muqammal sukoon

muntazir aaj tak hoon ki deedaar ho
ho piya-deed to aaye फ़ैसल,सुकून

रोज़ मैं सोचता आएगा कल सुकून
जो कि बन जाएगा इक मुसलसल सुकून

दर-ब-दर मैं सुकूँ की तलब में फिरा
और सोचा कि शायद हो जंगल,सुकून

हाथ रख शाने पे,कुछ दिलासा भी दे
इससे मुमकिन है आ जाए कुछ पल सुकून

रात ये कौन आकर मुझे कह गया
ध्यान से सुन,मिलेगा तुझे कल सुकून

बोलकर झूठ वो टालता है मुझे
मुझको कर दे ना आखिर ये पागल,सुकून

शानो-शौक़त से रहता था वो,और अब
माँगता है कि मिल जाए दो पल सुकून

ज़ेरे निगरानी बच्चे बड़े होते जब
तो रहे वालिदैं को भी हर पल सुकून

जिस भी औक़ात तू मेरी बाहों में हो
मैं कहूँ इसको ही तो मुक़म्मल सुकून

मुन्तज़िर आज तक हूँ की दीदार हो
हो पिया-दीद तो आए फ़ैसल,सुकून

- Faisal khan
1 Like

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari