ai mere jaan nisaar abhi ehtiyaat rakh | ऐ मेरे जाँ निसार अभी एहतियात रख - Faisal khan

ai mere jaan nisaar abhi ehtiyaat rakh
mushkil ghadi hai yaar abhi ehtiyaat rakh

ye dekh jaan se kahi dhona pade na haath
kehta hoon baar baar abhi ehitiyaat rakh

himmat bhi rakh le dil mein abhi rakh tu hausla
par saath mein tu yaar abhi ehtiyaat rakh

rah daayre में,हद se tajavuz na karna tu
kar beriyaan na paar abhi ehtiyaat rakh

sab chhoot jaayega yahin marne ke baad phir
sabkuchh hai jaandaar abhi ehtiyaat rakh

parhez ehtiyaat ko laazim pakad le tu
paini vaba ki dhaar abhi ehtiyaat rakh

faisal kahi na jaaiyo aalam vaba ka hai
ho jaayega beemaar abhi ehtiyaat rakh

ऐ मेरे जाँ निसार अभी एहतियात रख
मुश्किल घड़ी है यार अभी एहतियात रख

ये देख जान से कहीं धोना पड़े न हाथ
कहता हूं बार बार अभी एहितयात रख

हिम्मत भी रख ले दिल में अभी रख तू हौसला
पर साथ में तू यार अभी एहतियात रख

रह दायरे में,हद से तजावुज़ न करना तू
कर बेड़ियाँ न पार अभी एहतियात रख

सब छूट जाएगा यहीं मरने के बाद फिर
सबकुछ है जानदार अभी एहतियात रख

परहेज़ एहतियात को लाज़िम पकड़ ले तू
पैनी वबा की धार अभी एहतियात रख

फ़ैसल कहीं न जाइयो आलम वबा का है
हो जाएगा बीमार अभी एहतियात रख

- Faisal khan
2 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari