koi deta nahin tinke ka sahaara mujhko | कोई देता नहीं तिनके का सहारा मुझको - Faisal khan

koi deta nahin tinke ka sahaara mujhko
aap kya denge miyaan bheed mein rasta mujhko

kislie aapne roka hai mujhe hijrat se
kislie aapne gaadi se utaara mujhko

dekhkar tu mere haalaat ko rota kyun hai
phir se dekhega bulandi pe zamaana mujhko

sakht dil hoon main magar faisla mat kar jaldi
kyonki aisa bhi nahin gham bhi na hota mujhko

faayda log utha lete hain mazboori ka
isliye phoot ke aaya nahin rona mujhko

isliye door kiya hai tujhe maine faisal
taaki lagne lage tu aur bhi pyaara mujhko

कोई देता नहीं तिनके का सहारा मुझको
आप क्या देंगे मियाँ भीड़ में रस्ता मुझको

किसलिए आपने रोका है मुझे हिजरत से
किसलिए आपने गाड़ी से उतारा मुझको

देखकर तू मेरे हालात को रोता क्यूँ है
फिर से देखेगा बुलंदी पे ज़माना मुझको

सख़्त दिल हूँ मैं मगर फ़ैसला मत कर जल्दी
क्योंकि ऐसा भी नहीं ग़म भी न होता मुझको

फ़ायदा लोग उठा लेते हैं मज़बूरी का
इसलिए फूट के आया नहीं रोना मुझको

इसलिए दूर किया है तुझे मैंने फ़ैसल
ताकि लगने लगे तू और भी प्यारा मुझको

- Faisal khan
3 Likes

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal khan

As you were reading Shayari by Faisal khan

Similar Writers

our suggestion based on Faisal khan

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari