kinaare pe hawa ka josh dekha | किनारे पे हवा का जोश देखा

  - Ajay Kumar

kinaare pe hawa ka josh dekha
to ja ke machliyon mein hosh dekha

ye kaisi silsila-daari bani hai
maheenon tak use khaamosh dekha

jise main chhod aaya maykade mein
usi gham ko kahi be-hosh dekha

jo kachve ke qaside padh raha tha
usi ke paas mein khargosh dekha

vo bhi to ek bebas haadsa tha
use auron ke hum-aaghosh dekha

किनारे पे हवा का जोश देखा
तो जा के मछलियों में होश देखा

ये कैसी सिलसिला-दारी बनी है
महीनों तक उसे ख़ामोश देखा

जिसे मैं छोड़ आया मयकदे में
उसी ग़म को कहीं बे-होश देखा

जो कछवे के क़सीदे पढ़ रहा था
उसी के पास में ख़रगोश देखा

वो भी तो एक बेबस हादसा था
उसे औरों के हम-आग़ोश देखा

  - Ajay Kumar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Kumar

As you were reading Shayari by Ajay Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Kumar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari