kabhi dukh ke maare kabhi shaad mein | कभी दुख के मारे कभी शाद में

  - Jagveer Singh

kabhi dukh ke maare kabhi shaad mein
ye aankhen tarasti teri yaad mein

jo shayar gham-e-hijr se bach gaya
use muflisi kha gai baad mein

dukhi honi thi teri beti kabhi
zameen paisa hi dekha daamaad mein

meri rooh mein aise urdu basi
base maa ka dil jaise aulaad mein

tavajjoh mile is sukhun ko bahut
amaan waqt lagta hai ijaad mein

mahaj pet bharti hai meri pagaar
sukoon milta hai mujhko bas daad mein

meri shayari dagmaga jaati hai
teri yaad aati hai taadaad mein

mohabbat mein aabaad ka sukh nahin
mohabbat ka hai lutf barbaad mein

tariqe lagaaye the kaafi magar
vo har baar boli nahin baad mein

laga dil parinde ka sayyaad se
laga saara hi dasht fariyaad mein

कभी दुख के मारे कभी शाद में
ये आँखें तरसती तेरी याद में

जो शायर ग़म-ए-हिज्र से बच गया
उसे मुफ़लिसी खा गई बाद में

दुखी होनी थी तेरी बेटी कभी
ज़मीं पैसा ही देखा दामाद में

मेरी रूह में ऐसे उर्दू बसी
बसे माँ का दिल जैसे औलाद में

तवज्जोह मिले इस सुख़न को बहुत
अमाँ वक़्त लगता है ईजाद में

महज़ पेट भरती है मेरी पगार
सुकूँ मिलता है मुझको बस दाद में

मेरी शायरी डगमगा जाती है
तेरी याद आती है तादाद में

मोहब्बत में आबाद का सुख नहीं
मोहब्बत का है लुत्फ़ बर्बाद में

तरीक़े लगाए थे काफ़ी मगर
वो हर बार बोली नहीं बाद में

लगा दिल परिंदे का सय्याद से
लगा सारा ही दश्त फ़रियाद में

  - Jagveer Singh

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagveer Singh

As you were reading Shayari by Jagveer Singh

Similar Writers

our suggestion based on Jagveer Singh

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari