deewaanaapan taari hai | दीवानापन तारी है

  - Kumar Aryan

deewaanaapan taari hai
ye bhi kya ayyaari hai

nam kyun hai sabki aankhe
kaun-si ye beemaari hai

main khud apna dushman hoon
baaki sabse yaari hai

kehne ko dhanwaan hai vo
dil se ek bhikaari hai

ishq se badhkar kya kuchh hai
ishq hi duniya saari hai

dil to jeeta hai sabka
par hamne jaan haari hai

man ko maat to di hamne
zindagi se baazi maari hai

main bhi hoon gaddaar agar
sach kehna gaddaari hai

दीवानापन तारी है
ये भी क्या अय्यारी है

नम क्यों है सबकी आँखे
कौन-सी ये बीमारी है

मैं ख़ुद अपना दुश्मन हूँ
बाक़ी सबसे यारी है

कहने को धनवान है वो
दिल से एक भिखारी है

इश्क़ से बढ़कर क्या कुछ है
इश्क़ ही दुनिया सारी है

दिल तो जीता है सबका
पर हमने जाँ हारी है

मन को मात तो दी हमने
ज़ीस्त से बाज़ी मारी है

मैं भी हूँ ग़द्दार अगर
सच कहना ग़द्दारी है

  - Kumar Aryan

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kumar Aryan

As you were reading Shayari by Kumar Aryan

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Aryan

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari