aaj bhi gardan mein uski tetoo mere naam ka hai | आज भी गर्दन में उसकी टेटू मेरे नाम का है

  - Vikas Shah musafir

aaj bhi gardan mein uski tetoo mere naam ka hai
vo kabhi mera tha tumko jo dil-e-khoon lag raha hai

dost ko apna samajh kar hi to samjhaaya tha maine
par mera har mashwara uske liye qissa hua hai

kya karoge tha kabhi haq us pe mera ab nahin hai
kyun ki vo mujhse bichhad kar phir kisi aur ka hua hai

ishq ka ab ilm-e-seena to kisi mein bhi nahin hai
aashiqon ko be-libaasi ishq jo ab ho gaya hai

ye musafir chhod kar duniya ki zimmedaari ab to
bhool ja sab aage badh ja soch tera sapna kya hai

आज भी गर्दन में उसकी टेटू मेरे नाम का है
वो कभी मेरा था तुमको जो दिल-ए-ख़ूँ लग रहा है

दोस्त को अपना समझ कर ही तो समझाया था मैंने
पर मेरा हर मशवरा उसके लिए क़िस्सा हुआ है

क्या करोगे, था कभी हक़ उस पे मेरा, अब नहीं है
क्यों कि ,वो मुझसे बिछड़ कर फिर ,किसी और का हुआ है

इश्क़ का अब 'इल्म-ए-सीना तो किसी में भी नहीं है
आशिक़ों को बे-लिबासी इश्क़ जो अब हो गया है

ये मुसाफ़िर छोड़ कर दुनिया की ज़िम्मेदारी अब तो
भूल जा सब आगे बढ़ जा सोच तेरा सपना क्या है

  - Vikas Shah musafir

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari