yaar ki chaahat mein mehfil tak jaate hain | यार की चाहत में महफ़िल तक जाते हैं

  - Neeraj Naveed

yaar ki chaahat mein mehfil tak jaate hain
yaani ham khud hi qaatil tak jaate hain

vo patthar hai so vo paas nahin aata
ham dariya hain so saahil tak jaate hain

haalanki ek jism ki baadha aati hai
par deewane seedha dil tak jaate hain

sochne se hi manzil nai milti hai dost
chalne waale hi manzil tak jaate hain

aasaani tak saath sabhi rahte hain par
apne vo hain jo mushkil tak jaate hain

raah-e-safar hai duniya neeraj yaad rahe
raaste sab ik hi manzil tak jaate hain

यार की चाहत में महफ़िल तक जाते हैं
यानी हम ख़ुद ही क़ातिल तक जाते हैं

वो पत्थर है सो वो पास नहीं आता
हम दरिया हैं, सो साहिल तक जाते हैं

हालांकि एक जिस्म की बाधा आती है
पर दीवाने सीधा दिल तक जाते हैं

सोचने से ही मंज़िल नइ मिलती है दोस्त
चलने वाले ही मंज़िल तक जाते हैं

आसानी तक साथ सभी रहते हैं पर
अपने वो हैं जो मुश्किल तक जाते हैं

राह-ए-सफ़र है दुनिया, “नीरज” याद रहे
रस्ते सब इक ही मंज़िल तक जाते हैं

  - Neeraj Naveed

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Neeraj Naveed

As you were reading Shayari by Neeraj Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Neeraj Naveed

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari