udhar to ghar tumhaari baat karta rah gaya tha main
tumhein le ja chuka koi ke darta rah gaya tha main
samajh aaya tumhein to main bataaunga kabhi kya tha
vo ik lamha ke jismein khud guzarta rah gaya tha main
badal jaane ki aadat bhi tumheen se seekhni hai ab
udhar poori hui thi tum bikharta rah gaya tha main
tumhein kuchh farq padta hi nahin shaayad yahi sach hai
idhar hansati rahi tum aur marta rah gaya tha main
hue hairaan mujhko dekh kar ye log aise bhi
tumhaare hijr mein aisa sanwarta rah gaya tha main
उधर तो घर तुम्हारी बात करता रह गया था मैं
तुम्हें ले जा चुका कोई के डरता रह गया था मैं
समझ आया तुम्हें तो मैं बताऊँगा कभी क्या था
वो इक लम्हा के जिसमें खुद गुज़रता रह गया था मैं
बदल जाने की आदत भी तुम्हीं से सीखनी है अब
उधर पूरी हुई थी तुम बिखरता रह गया था मैं
तुम्हें कुछ फ़र्क़ पड़ता ही नहीं शायद यही सच है
इधर हँसती रही तुम और मरता रह गया था मैं
हुए हैरान मुझको देख कर ये लोग ऐसे भी
तुम्हारे हिज्र में ऐसा सँवरता रह गया था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanpreet singh
our suggestion based on Amanpreet singh
As you were reading Hijrat Shayari Shayari