roothe hue udaas ladke-ladkiyaan
roothi hui udaas ladkiyon ki taaseer sonth ki tarah hoti hai unmein kadvaahat itni ki zubaan jala den lekin ishq se labreiz itni ki paseej jaayen ek adnaa sa gham ka fasana sun ke jo chahti hain ki manaayi jaayen sooni jaayen buni jaayen kavitaon mein un saare alfaaz mein jo faqat unke liye hi hon jo saheje jaayen diary ke pannon mein khaton mein kisi kitaab ke aakhiri panne par kisi kavita. ki pasandeeda pankti ke neeche kheenchi gai underline ki tarah
roothi hui udaas ladkiyaan adhuri chhodi gayi kahaaniyon ki tarah hoti hain roothi hui udaas ladkiyaan der raat adhuri chhodi gayeen kitaabon ki tarah hoti hain jo itminaan se seene par aaraam karna chahti hain jo adhuri hoti hain phir bhi intezaar khoobsurat hoti hain
roothe hue udaas ladke barf ke tukdon ki tarah hote hain duniya unhen mazbooti ka thappa laga dekhti hai mijaaz mein itni thandak ki saare ehsaasaat jama de par wahi barf ke tukde taaseer se garm hote hain bilkul khud ke hi vipreet par zara sa ishq ka senk aur yahi udaas ladke mohabbat ka dariya ho jaate hain jo chahte hain ki unke saath koi kahaani bahe jo chahte hain ki unhen chhua jaaye satahi taur par nahin balki unke man ke paanv mein phatti bewaiyon ko chhua jaaye unhen padha jaaye harf-dar-harf woh bhi jo unhonne kahi nahin likha kabhi nahin kaha unke honthon par jame hue patthar sareekhe alfaazon ko choom kar bina jaaye gehre saagar ki moti ki tarah unhen choo kar mehsoos kiya jaaye wahi ehsaas jo mehsoos hota hai subah ki pehli os ki boond ko chu kar ve chahte hain ki nonch ke fenka jaaye sakht-mizaaji ke saare tamge aur hona chahte hain kisi beej mein foottee pehli komal kopale
roothe hue udaas ladke/ladkiyaan un kaale baadlon ki tarah hain jinhen barsne ke liye faqat chand tukde zameen ki aarzoo hoti hai aur yah duniya unhen woh bhi nahin de paati
"रूठे हुए उदास लड़के-लड़कियाँ"
रूठी हुई उदास लड़कियों की तासीर सोंठ की तरह होती है, उनमें कड़वाहट इतनी कि ज़ुबाँ जला दें लेकिन इश्क से लबरेज़ इतनी कि पसीज जाएँ एक अदना सा ग़म का फ़साना सुन के, जो चाहती हैं कि मनायी जाएँ, सुनी जाएँ, बुनी जाएँ कविताओं में, उन सारे अल्फ़ाज़ में जो फ़क़त उनके लिए ही हों, जो सहेजे जाएँ डायरी के पन्नों में, ख़तों में, किसी किताब के आख़िरी पन्ने पर, किसी कविता की पसन्दीदा पंक्ति के नीचे खींची गई अंडरलाइन की तरह
रूठी हुई उदास लड़कियाँ अधूरी छोड़ी गयी कहानियों की तरह होती हैं, रूठी हुई उदास लड़कियाँ देर रात अधूरी छोड़ी गयीं किताबों की तरह होती हैं, जो इत्मिनान से सीने पर आराम करना चाहती हैं, जो अधूरी होती हैं फिर भी इन्तेहाई ख़ूबसूरत होती हैं
"रूठे हुए उदास लड़के बर्फ़ के टुकड़ों की तरह होते हैं, दुनिया उन्हें मज़बूती का ठप्पा लगा देखती है, मिजाज़ में इतनी ठण्डक कि सारे एहसासात जमा दे, पर वही बर्फ़ के टुकड़े तासीर से गर्म होते हैं, बिल्कुल खुद के ही विपरीत, पर ज़रा सा इश्क का सेंक और यही उदास लड़के मोहब्बत का दरिया हो जाते हैं, जो चाहते हैं कि उनके साथ कोई कहानी बहे, जो चाहते हैं कि उन्हें छुआ जाए सतही तौर पर नहीं बल्कि उनके मन के पाँव में फटती बेवाईयों को छुआ जाए, उन्हें पढ़ा जाए हर्फ़-दर-हर्फ़, वह भी जो उन्होंने कहीं नहीं लिखा, कभी नहीं कहा, उनके होंठों पर जमे हुए पत्थर सरीखे अल्फ़ाज़ों को चूम कर बिना जाए गहरे सागर की मोती की तरह उन्हें छू कर महसूस किया जाए वही एहसास जो महसूस होता है सुबह की पहली ओस की बूँद को छु कर, वे चाहते हैं कि नोंच के फेंका जाए सख़्त-मिज़ाजी के सारे तमगे और होना चाहते हैं किसी बीज में फूटती पहली कोमल कोपल।"
रूठे हुए उदास लड़के/लड़कियाँ उन काले बादलों की तरह हैं जिन्हें बरसने के लिए फ़क़त चन्द टुकड़े ज़मीन की आरज़ू होती है और यह दुनिया उन्हें वह भी नहीं दे पाती
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Pakhi Vats
As you were reading Valentine Shayari Shayari