duniya ko jab duniya se bhi fursat nahin | दुनिया को जब दुनिया से भी फ़ुर्सत नहीं - Naresh sogarwal 'premi'

duniya ko jab duniya se bhi fursat nahin
mujh ko to ik hi shakhs se mohlat nahin

qismat jahaan bhi chahe le jaaye mujhe
is zindagi se ejaaz kii hasrat nahin

ye aankh jin ko dekhne mein loot gaeein
dil-resh ko us se badi gurbat nahin

kar bhi liya barbaad maine khud ko hi
in aane jaane waalon se haibat nahin

kishton sulaati hai shab-e-furqat mujhe
is neend kii chaahat mein hi furqat nahin

दुनिया को जब दुनिया से भी फ़ुर्सत नहीं
मुझ को तो इक ही शख़्स से मोहलत नहीं

क़िस्मत जहाँ भी चाहे ले जाए मुझे
इस ज़ीस्त से एजाज़ की हसरत नहीं

ये आँख जिन को देखने में लुट गईं
दिल-रेश को उस से बड़ी ग़ुर्बत नहीं

कर भी लिया बर्बाद मैंने ख़ुद को ही
इन आने जाने वालों से हैबत नहीं

किश्तों सुलाती है शब-ए-फ़ुर्क़त मुझे
इस नींद की चाहत में ही फ़ुर्क़त नहीं

- Naresh sogarwal 'premi'
2 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naresh sogarwal 'premi'

As you were reading Shayari by Naresh sogarwal 'premi'

Similar Writers

our suggestion based on Naresh sogarwal 'premi'

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari