khud nigaahen kar rahi hain yun ibadat yaar ki
hai zaroorat hi kahaan aakhir hamein deedaar ki
roothna khud aur khud hi maan jaana ghaliban
is lagao mein riaayat hai nahin takraar ki
khwaab dekhen sab khuli aankhon se hamne raat bhar
aur yoon be-khud musallam raat sab bekar ki
hai yakeen saffaaq ko is jism mein hai dam bacha
vo taras khaate nahin hai shakl par beemaar ki
yoon inaayat hai sanam ki is firoten yaar par
ishq mein zalim ne meri zindagi dushwaar ki
ख़ुद निगाहें कर रही हैं यूँ इबादत यार की
है ज़रूरत ही कहाॅं आख़िर हमें दीदार की
रूठना ख़ुद और ख़ुद ही मान जाना ग़ालिबन
इस लगाओ में रिआयत है नहीं तकरार की
ख़्वाब देखें सब खुली आँखों से हमने रात भर
और यूॅं बे-ख़ुद मुसल्लम रात सब बेकार की
है यकीं सफ़्फ़ाक को इस जिस्म में है दम बचा
वो तरस खाते नहीं है शक्ल पर बीमार की
यूॅं इनायत है सनम की इस फ़िरोतन यार पर
इश्क़ में ज़ालिम ने मेरी ज़िंदगी दुश्वार की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Life Shayari Shayari