nigaahen lagaaye nigah-daar ki
ye chilman salaamat rahe yaar ki
hayaa-daar ke muntazir hain sabhi
talab hai haseena ke deedaar ki
ke baaton mein phir aa gaye yaar ham
ye bas ek ghalti kai-baar ki
tavakko raza ki dikha kar mujhe
wafa be-wafa ne lagaataar ki
mujhe phir khatakaar elaan kar
ye mujrim nigaahen girftaar ki
gawara sitam hai mujhe yaar sab
ke had main ye dekhoon sitam-kaar ki
निगाहें लगाए निगह-दार की
ये चिलमन सलामत रहे यार की
हया-दार के मुंतज़िर हैं सभी
तलब है हसीना के दीदार की
के बातों में फिर आ गए यार हम
ये बस एक ग़लती कई-बार की
तवक़्क़ो रज़ा की दिखा कर मुझे
वफ़ा बे-वफ़ा ने लगातार की
मुझे फिर ख़ताकार एलान कर
ये मुजरिम निगाहें गिरफ्तार की
गवारा सितम है मुझे यार सब
के हद मैं ये देखूँ सितम-कार की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Ijazat Shayari Shayari