bichhadte shauq se pal bhar nibha ke dekhte to | बिछड़ते शौक़ से पल भर निभा के देखते तो - Saif Dehlvi

bichhadte shauq se pal bhar nibha ke dekhte to
ai mere dost mujhe aazma ke dekhte to

ye kaise kah diya tum ne ki bewafa hoon main
kabhi sada to lagaate bula ke dekhte to

ye raat cheez kya hai din mein neend aa jaati
tum apni baahon mein ham ko sula ke dekhte to

kisi ko apna banaate kisi ke ho jaate
kisi ke vaaste aansu baha ke dekhte to

ye vo charaagh hai patthar ko mom kar dale
kabhi charaagh ae mohabbat jala ke dekhte to

tumhein to saif miyaan aashiqi ne maar diya
khyaal ae yaar se baahar bhi aa ke dekhte to

बिछड़ते शौक़ से पल भर निभा के देखते तो
ऐ मिरे दोस्त मुझे आज़मा के देखते तो

ये कैसे कह दिया तुम ने कि बेवफ़ा हूॅं मैं
कभी सदा तो लगाते बुला के देखते तो

ये रात चीज़ क्या है दिन में नींद आ जाती
तुम अपनी बाहों में हम को सुला के देखते तो

किसी को अपना बनाते किसी के हो जाते
किसी के वास्ते आँसू बहा के देखते तो

ये वो चराग़ है पत्थर को मोम कर डाले
कभी चराग़ ए मोहब्बत जला के देखते तो

तुम्हें तो सैफ़ मियाँ आशिक़ी ने मार दिया
ख़्याल ए यार से बाहर भी आ के देखते तो

- Saif Dehlvi
2 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari