firaq-e-yaar mujhe raat bhar sataata raha | फ़िराक़-ए-यार मुझे रात भर सताता रहा - Saif Dehlvi

firaq-e-yaar mujhe raat bhar sataata raha
kabhi hansaata raha aur kabhi rulaata raha

tamaam umr main jis shakhs ko bhulaata raha
tamaam umr wahi shakhs yaad aata raha

vo kah gaya tha ki ab khwaab mein milega mujhe
tamaam umr main phir neend ko bulaata raha

ajeeb log the kaanton se bach ke chalte the
tamaam umr main phoolon se zakhm khaata raha

sawaal unka hai unke liye kiya kya hai
tamaam umr main jin ke liye kamata raha

saza to milni thi mujh ko mere usoolon kii
tamaam umr ghalat ko ghalat bataata raha

फ़िराक़-ए-यार मुझे रात भर सताता रहा
कभी हँसाता रहा और कभी रुलाता रहा

तमाम उम्र मैं जिस शख़्स को भुलाता रहा
तमाम उम्र वही शख़्स याद आता रहा

वो कह गया था कि अब ख़्वाब में मिलेगा मुझे
तमाम उम्र मैं फिर नींद को बुलाता रहा

अजीब लोग थे काँटों से बच के चलते थे
तमाम उम्र मैं फूलों से ज़ख़्म खाता रहा

सवाल उनका है उनके लिए किया क्या है
तमाम उम्र मैं जिन के लिए कमाता रहा

सज़ा तो मिलनी थी मुझ को मेरे उसूलों की
तमाम उम्र ग़लत को ग़लत बताता रहा

- Saif Dehlvi
2 Likes

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari