aakhir kyun hai | आखिर क्यूं है

  - Chandrapal singh nishad

aakhir kyun hai

abhi to waqt ye kadak dhoop ka hai
phir ye suraj itna laal kyun hai
ye to shehar ka sabse raeis aadmi hai na
ye is tarah kangal kyun hai
ye haath mein tum kya chhupa rahi ho
ungli par ye angoothi ka nishaan kyun hai
ye chidiyaan ud kyun nahin pa raheen
inke pairo'n mein lagi ye lagaam kyun hai
kya kaha tumne main mar raha hoon
phir mujhe bachaane ka itna taamjhaam kyun hai

आखिर क्यूं है

अभी तो वक्त ये कड़क धूप का है
फिर ये सूरज इतना लाल क्यूं है
ये तो शहर का सबसे रईस आदमी है न
ये इस तरह कंगाल क्यूं है
ये हाथ में तुम क्या छुपा रही हो
उंगली पर ये अंगूठी का निशान क्यूं है
ये चिड़ियां उड़ क्यूं नहीं पा रहीं
इनके पैरों में लगी ये लगाम क्यूं है
क्या कहा तुमने मैं मर रहा हूं
फिर मुझे बचाने का इतना तामझाम क्यूं है

  - Chandrapal singh nishad

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Chandrapal singh nishad

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari