qafas se par kate panchi rihaa karne se kya hoga | क़फ़स से पर कटे पंछी रिहा करने से क्या होगा - SHABAN NAZIR

qafas se par kate panchi rihaa karne se kya hoga
dilon ki khud-kushi kar ke dava karne se kya hoga

zara tahqeeq ki maine mere haq mein jafaa nikli
tumhi bolo mere haq mein wafa karne se kya hoga

mere gham ke charaagon ko bujha paaya na toofan bhi
tere is adnaa daaman ke hawa karne se kya hoga

ye kya achha nahin ho ab ki ham manzil alag kar len
safar ke beech mein rasta juda karne se kya hoga

chalo phir silsila milne ka aakhir khatm kar len ham
ye aaye din mulaqaatein qaza karne se kya hoga

abhi kuch log hain naazir safar mein kaam aayenge
faqat apne liye tanhaa dua karne se kya hoga

क़फ़स से पर कटे पंछी रिहा करने से क्या होगा
दिलों की ख़ुद-कुशी कर के दवा करने से क्या होगा

ज़रा तहक़ीक़ की मैंने मेरे हक़ में जफ़ा निकली
तुम्ही बोलो मेरे हक़ में वफ़ा करने से क्या होगा

मेरे ग़म के चराग़ों को बुझा पाया न तूफाँ भी
तेरे इस अदना दामन के हवा करने से क्या होगा

ये क्या अच्छा नहीं हो अब की हम मंज़िल अलग कर लें
सफ़र के बीच में रस्ता जुदा करने से क्या होगा

चलो फिर सिलसिला मिलने का आख़िर ख़त्म कर लें हम
ये आए दिन मुलाक़ातें क़ज़ा करने से क्या होगा

अभी कुछ लोग हैं नाज़िर सफ़र में काम आएँगे
फक़त अपने लिए तन्हा दुआ करने से क्या होगा

- SHABAN NAZIR
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHABAN NAZIR

As you were reading Shayari by SHABAN NAZIR

Similar Writers

our suggestion based on SHABAN NAZIR

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari