main muhaajir hoon ye kehta ja raha hai | मैं मुहाजिर हूँ ये कहता जा रहा है

  - Dipanshu Shams

main muhaajir hoon ye kehta ja raha hai
shaakh se udkar parinda ja raha hai

ishq kya hai koi poochhe yaar usse
khudkhushi karne jo ladka ja raha hai

aa gayi manzil nazar lagta hai usko
jo musafir muskurata ja raha hai

boodhe ghutnon ko zaroorat dhoop ki hai
aur suraj hai ki chhupta ja raha hai

main yakeen kaise karoon us aadmi ka
jo banaras kahke shimla ja raha hai

मैं मुहाजिर हूँ ये कहता जा रहा है
शाख़ से उड़कर परिंदा जा रहा है

इश्क़ क्या है कोई पूँछे यार उससे
खुदखुशी करने जो लड़का जा रहा है

आ गयी मंज़िल नज़र लगता है उसको
जो मुसाफ़िर मुस्कुराता जा रहा है

बूढ़े घुटनों को ज़रूरत धूप की है
और सूरज है कि छुपता जा रहा है

मैं यकीं कैसे करूँ उस आदमी का
जो बनारस कहके शिमला जा रहा है

  - Dipanshu Shams

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipanshu Shams

As you were reading Shayari by Dipanshu Shams

Similar Writers

our suggestion based on Dipanshu Shams

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari