bewafaai ka qissa sunaau tumhein
ho ijaazat to bolo rulaau'n tumhein
ishq mein chot itni mili hai mujhe
aashiqon kis tarah se bataaun tumhein
tum tadap jaaoge mera dil dekh kar
zakhm-e-dil yaar kaise dikhaaun tumhein
mujhko tum khush nazar aa rahe ho yahan
pyaar ka naam lekar sataaun tumhein
hai shash-o-panj mein zehan daanish mera
main rulaau'n ya phir yun hasaaun tumhein
बेवफ़ाई का क़िस्सा सुनाऊँ तुम्हें
हो इजाज़त तो बोलो रुलाऊँ तुम्हें
इश्क़ में चोट इतनी मिली है मुझे
आशिक़ों किस तरह से बताऊँ तुम्हें
तुम तड़प जाओगे मेरा दिल देख कर
ज़ख़्म-ए-दिल यार कैसे दिखाऊँ तुम्हें
मुझको तुम ख़ुश नज़र आ रहे हो यहाँ
प्यार का नाम लेकर सताऊँ तुम्हें
है शश-ओ-पंज में ज़हन 'दानिश' मेरा
मैं रुलाऊँ या फिर यूँ हसाऊँ तुम्हें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Ijazat Shayari Shayari