koi insaan se nahin tujh se ye iqraar kiya | कोई इंसाँ से नहीं तुझ से ये इक़रार किया

  - Shayar Danish

koi insaan se nahin tujh se ye iqraar kiya
ye khata hai ki ai jaan hamne hi kyun pyaar kiya

neend bhi aati nahin raat mein hamko ai jaan
pyaar mein khud pe hi in haathon se ye vaar kiya

milte hain hamko ye ruswa ke siva kuchh bhi nahin
is qadar hamne bhi ye pyaar ka izhaar kiya

tune kar daala hai qabza bhi hamaare dil par
is samandar ko ai jaan tair ke hi paar kiya

ye jo daanish nahin deta hai kisi ko bhi dil
teri khaatir hi kai logo ko inkaar kiya

कोई इंसाँ से नहीं तुझ से ये इक़रार किया
ये ख़ता है कि ऐ जाँ हमने ही क्यों प्यार किया

नींद भी आती नहीं रात में हमको ऐ जान
प्यार में ख़ुद पे ही इन हाथों से ये वार किया

मिलते हैं हमको ये रुसवा के सिवा कुछ भी नहीं
इस क़दर हमने भी ये प्यार का इज़हार किया

तूने कर डाला है क़ब्ज़ा भी हमारे दिल पर
इस समंदर को ऐ जाँ तैर के ही पार किया

ये जो दानिश नहीं देता है किसी को भी दिल
तेरी ख़ातिर ही कई लोगो को इंकार किया

  - Shayar Danish

War Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading War Shayari Shayari